Char chare baba dham 

 Om namah shivay char char baba dham guruji raju dara sthapit kiya gaya tha 1996 me, yese to koi logo ke mu se is baba dham ke bare me suna tha to ek din achanak nikal para is baba dham ke darshan karne to me aapna scuti leke nikal pada or nh 31 se hote huye mina more pouch fir siddha north ke taraf bagrakote tea garden par hoke army scholl tak poucha yeha tak rasta thik he fir suru hota he lis nadi se hote hue to rasta kharab tha fir bhi chal pada jate jate bahout jaga nadi cross kadna pada or aate jate logo se puchte puchte mandir par ho gaya us din koi picnic ka gadi bhi aaya tha tabhi achanak dhayan aaya mere purse jo ki piche wala pocket me tha wo nahi tha me bahut pareshan ho gaya usme driving licence atm card voter id jo ki duplicate tha to me dhunte dhunte pura nadi ka rasta dekha fir bhi nahi mila fir scuti ko army school ke pass lock karke paidal chal pada purs ko dhundne aate jate gari walo ko picnic me aaye huye logo se pucha kisi ko purse mila he to sabhi ne mana kar diya kuch logon ne madad kiya dhundne me fir mujhe baba ka din aaya to me baba se bola baba mera purse mil jaye kyon ki usme koi important document tha tabhi dhoondte dhoondte baithe huye pani me mera purs mujhe mila or sabhi docoment bhi mil gaya kuch dur pe eak picnic party aaye huye the wo logon ko nahi dikha fir me mandir gaya or baba se bola sach me baba yeha bas kadte he or mandir me puchke aisa mehsoos hua baba khud mujhe bulaya he aap yakin maniye yea nahi par ye ghatna mere sat ho chuka he or me khud ko bahut bhagyasali manta hu baba mujhe mauka diya baba ke is dham ko aap sabhi ke samne la saku. 

















Mandir ka itihas

Ye mandir ka stapan guru raju ji ne kiya tha 1996 me sunne me aata he guru ji yeha 2 sal tappsa kiya tha or unke sadhana khatam hone par unhe eaha 7 joti ka darshan hua tha or iske bad unonho ne ye char chare baba dham ka stapana kiya tha or guruji 2014 me parlok ko prasthan kia abhi arbind tiwari or upen chhetri ji is mandir ka dekhbhal kar rahe he. sawan mahine me yaha bahut bhakto ka samagam hota he or baba ka puja karte he sabhi ka manokamna yeha pura hota he yaha aapko natural om ka jo structure jo hota he usi shape ka pahar dekhne ko milega jo ki maine image me bhi dikhaya . is mandir me tin pathar ke bich me baba birajman he jo ki aapne aap me ascharya karta he or pas me hi pani bahita rahta he par kaha se pani aata he kisi ko pata nahi baba ke sat ma ganga bas karta he ye bat aapko sakshat darshan mil jayega or ek bat jo he itna kharab rasta nadi fir 100 siriya hoga uske bad baba ka darshan karke aapka thakan gayab ho jayega mene khud ye mahsus kiya manko jo apar santi ka anubhav hota he wo woha jake hi pata chalta he.

Guideline to reach char chare baba dham 

                                                                      Nh 31 se aane se aapko minamore me utarna parega siliguri se koi bhi gari jo malbazar aate he wo sabhi gari mina more hoke hi jata he mina more se toto auto se army school chale aaiye uske bad paidal lis nadi hoke 1 km chalne se hi right side me baba ka mandir mil jayega minamore se 5 km he or bike scuti to nadi me bhi chale jayega mandir ke samne tak, siliguri se takriban 35 km he minamore or malbazar se 21 km he distance kabhi ,man kare to ghum ke aaye dil ko sukun mil jayega.
 Om namah shivay .

No comments:

Post a Comment