Bokar obar chimney ling institute
Dam dim se thora hi aage jate hi petrol pump milega us petrol pump ko cros karke left me jo rasta north ke taraf ghusta hai usi raste pe thoda sa jane se hi ye bokar obar chimney ling institute najar aa jayega aapko yese to sabhi bolte he ye ek buddha monastery he par aaj jab me khud jake dekha to pata chala ye ek buddhist institute he jaha pe buddh ke bare phadai hota he par ek sundar buddha ka mandir bhi he kabhi swamy mile to jake ghum ke aaiye man ko shanti milega filhal ye complet nahi hua he par 2021 me iska inauguration hoga.
Entrance
ye he is itstitute me ghusne ka rasta isse aage jake aapko milega ek sundar sa garden uske do tadaf he students ke rahne ka ghar or bich me main monastery niche image dekhenge to samaj jayenge.
sach me bahout hi sant or khubsurat jaga he man ko santi milta he yaha jake abhi takriban 500 hundred students he jo padhai kar raha he jo ki sikkim, nepal, bhutan,bihar or oura india se he or niche jo kam entrance gate me dikha raha hu jadatar isi monstry ka hi students apne hato se kadta he jo ki kalakari ka uttam namuna hai aap bhi dekhenge to hayran ho jayenge,
Dekhiye apne hathon se apne hi institute ka gate ka design ka kam kar rahe he puchne se apna naam sinzing bataya par itna sharmate he ke mu tak nahi dikhaya pad hato me jo kala he wo aap sabhi ko nazar aa raha hoga .
Monastery
Monastery ke andar ka nazara bhi dil ko chu lene bala he yese to har ek buddha monastery ka design anokha hota he iska bhi anokha hi he bada sa buddha ka murti pure monastery ka dhyan kichne me kafi he jara gaur kijiyen gan .
easy to har ek monstry ka apna hi aakarshan hota he ye bhi thik wese hi he ek anjan se sukun he yeha pe itne bachhe padte he phirbhi kooi sor saraba nahi he jaise buddha bhagwan ekant me baith kar apne sadhna me mangn rahte he thik usi tarah yaha bhi aapko wo shanti ka yhesas milega jo ki dilko mahsus hota he par jaba se bayan nahi kiya ja sakta bahut din se man kar raha tha jane ka pad aaj achanak dil ne kaha to jake darshan karke aaya yakin maniye dil ko chu gaya.
No comments:
Post a Comment