janam or birth is the most
important things of life it's the starting point of a life, janm hona yeani is dharti pe aapka landing ho chuka hai ab aap ko pura jiban isi jaga pe bitana hoga jab tak firse bulaba na aa jaye, par jeevan ka sabse kusi issi waqt milta hai jab aap ka janam hota hai aap ro rahe hoti he par sara jag haste he sochiye yehi se pata chalta he duniya kitni matlabi hota he par sirf maa hi ek akela insaan hota he jiski aankho pe aansu milega aapko vale hi wo khushi ki ho. or avi ke kal me to yeasa v hote he ke aagar aap ladka huye to pura jasan manate dekhenge savi ko par agar ladki huyen to utna khushi nahi milega dekhne ko par savi jaga par ye sahi v nahi ho sakta par jadatar jaga pe aisa hi hota he. agar aap ma ho to aap ko ek anokhi cheez ka anuvab hoga jo said hi hum ladka log kavi v nahi samjhenge par koi ma ke mukh se hi suna hai maine ke bachha ko janam dene ka jo ehsas hota he wo kisi or chij me nahi hota he said koi pita v ye samajhta hai ke baap hona kya garb ka bat hota he. sochiye ke aap jab bache the tab jo aanand hota the pura jiban kal me dobara nahi milega 100 me se kisi ko v punch lijiye ke aap agar past me jana chahte he to konsi umar me jana pasand karenge to mera kheyal se 100 me se 100 he bolenge bachpan me jante he q?
kyon ki ye wo pal he jo yeske yaad he aap ka mukh pe muskurahate lata rahta he us umar me kiyen huyen natkhat pan masti jo fir kisi umar me nahi kar sakte he kosis karke dekhiye ,wo masumiyat wo dourna girna gir ke firse uthna firse dourna wo ma ki dat pitaji ka sasan gharwalo ki chinta wo kavi dubara aapko mil hi nahi sakta wo pal ek aisa pal he jo jivan ka golden moments kahlata he yena jiban kal ka sabse acha pal jo hum sabhi ne banaya he par ye pal v kisi ka utna acha nahi hota un logo ke liye jiske ma yea pitaji nahi hote he yea to anath jo bache hote he par fir vi masumiyat to masumiyat hi hota he, isliye kehte he bachpan wala dil hamesha apne andar zinda rakhna chahiye ek yahi wo pal hota he jinke yeadon ke sahare hum pura jivan kal hanste muskurate bita sake,dilo me hamesha bachpan ko jinda rakhte huyen aage chalte rahne se tabvi sab kam ban jata the aapvi ban jayega. bachpan ek kachi mitti ke jaisa hota he kumar jaise chahe waise hi aakar me dhal jata he aap ko bas wo kumar ke tarha hi banna he par is ke liye thoda dat v joruri he jayse kumar bartan banane se pehle miti ko pitta he pani se vigota he taki wo naram ho jayen or man chaya aakar me wose dhal sake owaisi hi par aapko v karna he par dhyan se jada ho jaye to mitti itna gila ho jayega ke aapke pankar me nahi aayega or kam ho to itna sakt raha jayega ki wo kisi v aakar me dhal nahi payege ,or kosis kigi yenga ke aapne adhure sapne ko uski jarine pura karne ka galti kavi v mat kijiga wose kahani sunaiye ke aapka kya sapna the keya banna chayte the aap or kis karan se aap apna sapna pura na kar paye sayad isi se aapka kam ban jayega or o v soch ne lagega ke pitaji ne nahi kar paya me kar ke dikhayenge to sab khush ho jayenge or aapke v swapna jo adhure the shayad wo v pura kar de ekdin.
last me yehi kehna chahta hu kisi ne khub kaha hen.
zindagi zinda dili ka naam he, 
murde kya khak jiya karte he.
savi khus rahiye uparwala ka aasirbad savi pe bane rahe,
jay shri radhe jay shri krishna.

No comments:

Post a Comment